Ay Mah-e-Ramzan ahista chalna,
Hamein khaasa qarz chukana hai,
Kuch khwab hain jinko likhna hai,
aur tabeeron ko paana hai,
Kuch log hain ujrey dil wale,
Un sab mein pyar basana hai,
aur khizaa raseeda angan mein,
Ab aman ka beej lagana hai,
Kuch tauba karni baqi hai,
aur Rab ko hamein manana hai.
Ay Mah-e-Ramzan ahista chalna,
Hamein khaasa qarz chukana hai...!!
No comments:
Post a Comment