Samsung Galaxy

Sims 3

Amazon For Everyone

Chitika

Search This Blog

Showing posts with label Acceptance. Show all posts
Showing posts with label Acceptance. Show all posts

Tuesday, 2 August 2011

Ramadan Message

Chand se roshan ho Ramadan tumhara.

Ibadat se bhara ho Roza tumhara.

Har Roza aur Namaz ho Qubool tumhari.

Yehi Allah se hai Dua hamari.

Thursday, 21 July 2011

Prophet Message

Aik shakhs aap Sallallaho Alaihe Wa'aa Lehi Wasallam ke pas aya aur arz kiya :

Main aalim banna chahta hun.
Farmaya :
Taqwa ikhtiyar karo aalim ban jaoge.

Arz kiya :

Izzat wala banna chahta hun.
Farmaya :
Logon ki izzat karo.

Arz kiya :
Acha admi banna chahta hun.
Farmaya :
Logon ko nafa pohchao.

Arz kiya :
Taqatwar banna chahta hun.
Farmaya :
Allah par tawakal karo.

Arz kiya :
Allah ka khas banna chahta hun.
Farmaya :
Allah ka zikr kasrat se karo.

Arz kiya :
Rizq ki khushadgi chahta hun.
Farmaya :
Hamesha ba wazu raho.

Arz kiya :
Duaon ki qabooliyat chahta hun.
Farmaya :
Haram mat khao.

Arz kiya :
Gunahon mein kami chahta hun.
Farmaya :
Astaghfar karo.