Aik shakhs aap Sallallaho Alaihe Wa'aa Lehi Wasallam ke pas aya aur arz kiya :
Main aalim banna chahta hun.
Farmaya :
Taqwa ikhtiyar karo aalim ban jaoge.
Arz kiya :
Izzat wala banna chahta hun.
Farmaya :
Logon ki izzat karo.
Arz kiya :
Acha admi banna chahta hun.
Farmaya :
Logon ko nafa pohchao.
Arz kiya :
Taqatwar banna chahta hun.
Taqatwar banna chahta hun.
Farmaya :
Allah par tawakal karo.
Arz kiya :
Allah ka khas banna chahta hun.
Farmaya :
Allah ka zikr kasrat se karo.
Arz kiya :
Rizq ki khushadgi chahta hun.
Farmaya :
Hamesha ba wazu raho.
Arz kiya :
Duaon ki qabooliyat chahta hun.
Farmaya :
Haram mat khao.
Arz kiya :
Gunahon mein kami chahta hun.
Farmaya :
Astaghfar karo.
No comments:
Post a Comment